Bewafa Tera Masoom Chehra | Jubin Nautiyal,Karan Mehra, Ihana Dhillon | Rochak Kohli, Rashmi Virag

 

Dil laga bhi liya, ishq bhi kar liya
Chandni raat mein humne taare gine
Dil laga bhi liya, ishq bhi kar liya
Chandni raat mein humne taare gine

Khwaab jaisa koi
Khwaab thi zindagi
Neend tooti toh aaya samajh ye hume

Raah wo jispe main chal raha tha
Uski koi bhi manzil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Khoobsurat tu bahut hai lekin
Dil lagaane ke kaabil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Ho meri yaadon se tu
Aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujood hai
Meri yaadon se tu
Aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujood hai

Aaj bhi mehfilon mein tere aur mere
Naam pehle ki tarah mashoor hai
Mere barbaadiyon ki wajah mein
Kehte hai ki tu shaamil nahi hai

Qatl baazar mein ho chuka hoon
Phir bhi tu mera qaatil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Kabhi is ore
Kabhi uss ore chale jaate
Mohabbat humse wafa gairon se
Yeh hunar kahan se laate ho

Karwat badal leta hoon main aaj kal
Jo kabhi mere khwabon mein
Tum chale aate ho

Jhoothi wafaaon ke jhoothi kahani hai
Tumne sunaayi mujhe
Mere liye toh khuda bhi jhootha
Main sach maan baitha tujhe

Jhoothi wafaaon ke jhoothi kahani hai
Tumne sunaayi mujhe
Mere liye toh khuda bhi jhootha
Main sach maan baitha tujhe
Saare ke saare zakham hai sambhaale
Jo tune diye the mujhe

Ab dhadkata hai seene mein mere
Hai wo patthar koi dil nahi hai
Zindagi bhar jise maine chaaha
Zindagi bhar jise maine chaaha
Mar ke bhi mujhko haasil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Comments