Skip to main content
Hame bharat kahte hain…….
Mehman to Rab ke jaisa hai
Wo chale to sans bichate hain
Hai lahu mein rang qurbani ka
Jaa dekar jaan bachate hain
Apna paraya hum na dekhein
Kabbi bhi apna gam na dekhein
Dusro ke dard me khade rahte hai
Hame bharat kahte hain
Koi roye to ansu churake
Ankho me hasin bhar dete hain
Mushkil me rahke dusro ka
Aasaan safar kar dete hai
Ye mitti hi kuch aisi hai
Zakhmo pe marham jaisi hai
Insaniyat ki hawao me hum bahte hai
Hame bharat kahte hain…….
Tilak jo maathe pe
lagaaya is mitti ka to
rang basanti chhaye
tumne jo maanga dil
seene se nikaaaal ke
jaan dene chale aaye
Comments
Post a Comment